SBI Banking Related FAQS [Questions and Answers]


SBI banking Faqs



Is post ke jariye main state bank of India se related kuch FAQs (Questions) ka jawaab dene ja raha hu jo ki aksar SBI customers or non-customer ke mind me hote hain.

SBI banking ki sabhi facility and features ko aap use kar sake iske liye aap yah post jaroor read kare isme main kuch basic baate aapke sath share kar raha hu jo ki aksar logo ko pata nahi hoti.
Specially out of city SBI branches me maine dekha hai logo ko SBI ki products and features ke bare me bahut kam knowledge hoti hai jiski wajah se unhe kafi problems ko face karna padte hain.
SO read this post, ho sakta hai aapki Query ka jawaab is post me mil jaye ya fir ho sakta hai aapko kuch new information mile sbi ke bare me.

1. Kya Main SBI Account ke liye online Form Fill kar sakta hu?

Yes, aap SBI me online account open karne ke liye online form fill kar sakte hain.
Form Fill up karne ke baad Form ki print lekar, sath me Photo and Documents (ID proof & Address Proof) lekar kisi bhi Branch me visit kare aur apna account open kara sakte hain.

2. Account opening ke samay kitna Deposit karna jaroori hai?

Rs.1000, account open karte samay aapko Rs.1000 deposit karna padta hai.

3. Kya Ek Se Jyada Saving Account open kar sakte hain?

YES, aap ek se jyada Savings accounts open kar sakte hain. Mere SBI me 2 accounts hain wo bhi same branch me.
Kosis ye kare ki alag-alag branch me apna account open karaye, single branch me single account.

4. Kya Aadhar card se Account open kara sakte hain?

Yes, aap sirf Aadhar card se apna account open kara sakte hain. Aadhar card ID proof and Address proof dono ka kaam karta hai.

5. Bank me PAN CARD submit karna jaruri hai?

Ji ha, PAN CARD submit karne ke bahut fayde hain. Fix deposit me aapko Tax se relief milti hai. Big amount transaction aap kar sakte hain.
PayPal account me transaction karne ke liye aapko PAN CARD add karna padta hai. Single word me kahu to PAN CARD jaroor submit kare.
Aapke paas PAN Card nahi hai to online apply kar sakte hain.

6. Kya Main Kisi bhi Branch me Account Open kar sakta hu?

Aap apni city ki kisi bhi SBI branch me jakar apna Account open kara sakte hain.
Aisa nahi hai ki aap jis area me rahte hain sirf wahi account open kara sakte hain, aap city ke andar kisi bhi branch me account open kar sakte hain.

7. Kya Main apni SBI Branch Change kar sakta hu?

Yes. Agar aap apni current branch ko change karke kisi doosri SBI branch me account transfer karna chahte hain to kar sakte hain.
  • Account Transfer Form Fill kare.
  • New Branch me visit kare aur apni passbook and cheque book branch me submit kare
  • Within 7 days me aapka account transfer ho jayega aur aapko new passbook mil jayegi.
  • Account transfer hone ke baad apna address proof branch me submit kare.

8. Mera Saving Account hai, Kya main kisi bhi Card ke liye Apply kar sakta hu?

Agar aapka SBI me saving account hai to aap koi bhi Debit card ke liye apply kar sakte hain.
Jan Dhan Yojna account holder ko Rupay Debit card provide kiya jata hai.

9. Zero balance me Kya Account Close ho jata hai?

Agar aapke account me zero balance hai aur kafi samay se account me koi bhi transaction nahi hua hai, to account close kar diya jata hai.

Isliye apne account ko active rakhe, Six month me ek transaction (Debit or Credit) jaroor kare.

10. Kya Ek sath 2 ATM/Debit card rakh sakte hain?

Nahi, aap per account sirf single ATM/Debit card rakh sakte hain.
Agar aapko new card lena hai to apne old card ko block karna hoga, uske baad aap new card ke liye apply kar sakte hain.

11. SBI Se Kisi bhi Account me Online Money Transfer Kaise kare?

Aapke paas SBI Net banking hai to aap online money transfer kar sakte hain kisi bhi bank account me.
NEFT and IMPS – ye 2 money transfer karne ki method hain. NEFT me 24 hours me money transfer ho jata hai aur IMPS me kuch seconds me money kisi bhi account me transfer ho jata hai.
Aap Mobile banking se bhi money transfer kar sakte hain, SBI Freedom App download kare aur register kare.

12. ATM/Debit card online receive kar sakte hain?

Ha, aap online ATM/Debit card ke liye apply karke apna card home address par receive kar sakte hain.
Pahle aapko branch me jana padta tha aur form fill up karna padta tha, ab aisa nahi hai.

13. Kya main apne Card ko Online Activate kar sakta hu?

YES, card ko receive karne ke baad activate karne ke liye aapko bank me jane ki jarurat nahi hai. Agar aapki Net banking active hai to aap online apne card ko activate kar sakte hain.

14. Card ki PIN online Kaise change kare?

Aap Net banking ke jariye apne Card ki PIN ko change kar sakte hain kisi bhi samay aur kayi bar.
Aap ATM machine me bhi apni PIN ko change kar sakte hain.

15. Net banking Kaise Activate kare?

SBI Net banking me aap apne computer/smartphone par account ko manage kar sakte hain.
Net banking aap apne ATM card se online activate kar sakte hain.
Agar ATM card nahi hai to aapko branch me visit karna hoga aur waha form fill karke net baking kit receive kar sakte hain.

16. Card ko Block Kaise kare?

Kisi emergency me agar aapko apna Card block karna hai to aap 4 methods se card block kar sakte hain.
Read: Apna SBI ATM or Debit Card kaise Block kare?

17. Mujhe apna SBI mobile number change karna hai?

Agar aapki Net banking active hai to aap online apna mobile number change kar sakte hain, nahi to branch me visit kare.

18. SBI ki complaint kaha kare?

Agar aap apni branch me banking se related koi problem face kar rahe hai to aap SBI ke online complaint form me complaint kar sakte hain.
Complaint karne ke baad within 7 days me aapki problem solve ho jayegi.
Aap SBI ke facebook page, twitter page par bi complaint kar sakte hain.

19. SBI Freedom App ka use kaise karte hain?

SBI Freedom App se aap banking ke sabhi kaam bahut easily kar sakte hain. Iski registration process kafi confuse karne wali hai.
Maine SBI freedom registration process ka article likha hai plz read it.

20. Ek Sath 2 Lac se jyada amount online kaise transfer kare?

Simple hai aap NEFT se 2 Lac se jyada amount online kisi bhi account me send kar sakte hain.
Bus aapko beneficiary add karna hai aur add karne ke baad aap money send kar sakte hain. Read this article: NEFT se money transfer kaise kare?
More Queries? Aap comment section me pooch sakte hain.

No comments:

'; (function() { var dsq = document.createElement('script'); dsq.type = 'text/javascript'; dsq.async = true; dsq.src = '//' + disqus_shortname + '.disqus.com/embed.js'; (document.getElementsByTagName('head')[0] || document.getElementsByTagName('body')[0]).appendChild(dsq); })();
Powered by Blogger.