PAN Card Ke Liye Online Apply Kaise Kare


Apply pan card on.online
Kya aapke paas apna PAN Card hai?

Nahi? Kya aapko pata hai aaj PAN Card hona jaruri hai, specially hum aur aap jaisi aaj ki generation ke liye.
aaj main aapko batane ja raha hu ki kaise aap PAN Card (Permanent Account Number) ke liye online Apply kar sakte hain, aur ghar baithe apna Pan card post ke through receive kar sakte hain.
Pan Card ki importance mujhe batane ki jarurat nahi hai, aap jaha bhi kisi financial/Banking/Government work ke liye jate honge waha sabse pahle aapse PAN card ki copy mangi jati hai.
Bank me Account open karana hai to PAN Card chaiye.
Fix Deposit me TAX se bachne ke liye iski jarurat padti hai.
Maximum amount transaction karne ke liye iski jarurat padti hai.
Income tax payers ko jarurat padti hai.
Identity proof me aap iska use kar sakte hain.
Insurance policy lena ho to iski jarurat padti hai.
Koi bhi government related work me iski jarurat padti hai.
Aur na jane kitne kaam hain jaha aapko PAN Card ki jarurat pad sakti hai.

Meri Family me sabke paas PAN Card hai, kya aapke paas hai? Nahi, to chaliye aapko batate hain kaise aap kuch minutes me internet par PAN Card ke liye Apply kar sakte hain.

Online PAN Card Apply Process (Step-by-Step)

Income tax department ki online site me ab PAN CARD form fill karna bahut easy ho gaya hai. Ji ha latest update me ab aap Aadhar card se documents ko verify kar sakte hain.
Ab aapko Documents income tax department me submit karne ki jarurat nahi hai. Bus upload photo and documents online and visit nearest PAN Card center and submit documents.
Ok. let’s see complete process:-

1. Visit Income Tax Site and Fill UP Form

Pan Card online apply karne ke liye sabse pahle Income Tax Department ke online portal par visit kare – Click here

pancard-apply-online
  • Application type me New Pan -Indian citizen (form49A) select kare.
  • Category me Individual select kare
  • Applicant information me apna Name, surname, birth date, Email address and mobile number enter karke submit kare.
Pan Card Apply online


Submit karne ke baad ab next screen me success ka message show karega jisme ek Token number aapko provide kiya jayega, is token number ka use aap agar form nahi fill kar pate hain to baad me token number se login kar fill up kar sakte hain.
Now click Continue With PAN Application form.
Ab aapko PAN CARD form Fill-up karna hai jisme 4 section hain, one by one sabhi form details ko fill-up kare.
1
Personal Details
Pan Card Apply online
  • Sabse pahle apna Aadhar Card Number enter kare, agar hai to add kare warna leave it. Aadhar card add karne se aapko application physically submit nahi karni padegi, online sari process ho jayegi.
  • Full name of applicant me apna name, surname, birth date add kare.
Pan Card Apply online
  • Have you ever known by other name me NO select kare
  • Details of Parents me aap Mother or Father, kiska name apne PAN card name ke sath add karna chahte hain wo choose kare.
  • Now click Next
2
Personal Details (part 2)
Pan card apply online
  • Source of income me apni income source select kare, meri salary hai.
  • Address of communication me Residence select kare
  • Residence address me apna home address properly add kare
  • Office address me same home address add kariye
pan card apply online
  • Telephone and email address me apna Mobile number and email address type kare
  • Representative Assassee me select NO
3
Contact & other Details
pancard online apply
Area code, AO type, Range code and AO NO. ki details automatic add karne ke liye below “For help on AO code, select from the following” me indian citizen select kare.

Ab apna state and city select karke apni city ka area choose kare jaha aap rahte hain wo select karte hi Area code, AO No details add ho jayegi.
Now click Next.
4
How do you want to submit your PAN application documents?
pan card apply online
Application Submit karne ke liye aapke paas 3 options hain.
  1. Application ko sabhi documents me sath Post ke through submit karna
  2. Scan karke Documents send karna (Yah option available nahi hota kayi bar)
  3. Aadhar card ko verify kar online submit karna
Yaha sabse best option hai AADHAR Card ke jariye Documents ko submit karna.
Agar aapke paas Aadhar card nahi hai to aap other 2 option choose kar sakte hain.
Option select karne ke baad Proof identity, Address proof and Date of birth proof me apne document ko select kare, agar aadhar card hai to all three option me aap Aadhar card choose kar sakte hain.
Agar aapne Documents send karne ke liye Aadhar card select kiya hai to aapko apna Photo, signature and Aadhar card ki copy upload karni hogi.
Now click on Submit
Form ko Submit karne ke baad ab aapko finally ek bar form ko complete check karna hai aur Proceed par click karke Application ko submit karna hai.

Payment Kare (Rs.107/-)

Form ko confirm submit karne ke baad ab next screen me aapko Rs. 107 Pay karna hai.
Aap online internet banking, Debit card or Demand draft se payment kar sakte hain.
Successful Payment karne ke baad aapko Acknowledgement slip provide ki jayegi.

Acknowledgement Slip ke sath Document Submit kare

Online form Fill karne ke baad aur Payment karne ke baad Acknowledgement slip ki print and proof of identity and address proof ke sath apne sabse near PAN CARD Centers par visit kare aur Submit kare.
PAN CARD centers aapke city me alag-alag places par available hain jaha aap apne documents submit kar sakte hain. Click here and Choose State and City and find nearest PAN CARD center.

Application Track Kare

Successfully Pan Card apply karne ke baad aap apni application ko onilne track kar sakte hain aur jaan sakte hain abhi kya process hai aapki application ki.
Application status track karne ke liye click here and insert 15-digit acknowledgement number.
Aap SMS ke through bhi apni application track kar sakte hain:
SMS ‘NSDLPAN15 digit ack. no.’ to 57575

When You Receive PAN CARD

Application ko verify karne ke baad sabhi documents ko deeply check karne ke baad agar koi mistake nahi hai to within a month aapka PAN CARD issue kar diya jata hai.
Aap apna PAN Card 1.5 month me receive kar sakte hain (depend on your location)

Summary

Once again, main aapko in short sari process bata deta hu,
  1. Online PAN Card apply link par visit kare aur apni details fill karke Register kare.
  2. Form Fill up kare jisme apni personal details, address and address proof, ID proof choose kare
  3. Form fill up karne ke baad submit kare
  4. Next Payment kare jo aap online and demand draft se kar sakte hain.
  5. Payment karne ke baad aapko Acknowledgement slip provide ki jayegi.
  6. Acknowledgement slip and Documets ke sath nearest PAN CARD Center par visit kare aur sabhi documents submit kare
  7. That’s it, application ko track karne ke liye is link par click kare aur apne Acknowledgement number ko enter karke track kare

No comments:

'; (function() { var dsq = document.createElement('script'); dsq.type = 'text/javascript'; dsq.async = true; dsq.src = '//' + disqus_shortname + '.disqus.com/embed.js'; (document.getElementsByTagName('head')[0] || document.getElementsByTagName('body')[0]).appendChild(dsq); })();
Powered by Blogger.