PayPal Me Pre-approved Payment Kaise Disable Kare
Kya aapke PayPal account
se money automatic debit ho raha hai, ya unauthorized debit/credit card
transaction ka message aapke mobile number par receive ho raha hai? –
Ho sakta hai aapke paypal account me preapproved payment active ho
Kya Hai Pre-approved Payment
Aap jab paypal ke through payment karte hai tab by default kai bar
aapki jaankari ke bahar aapke account me wo merchant payment ke liye
pre-approved ho jata hai aur aapki bina jaankari ke automatic aapke
Debit/credit card se us merchant ko payment ho jati hai.
For example, maine
hostgator se hosting purchase ki thi aur payment maine paypal ke through
kiya tha. Ab mere account me hostgator by default payment ke liye
pre-approved active ho gaya.
Ab baar baar mere hostgator ki taraf se mere paypal me unauthorized
transaction hone laga, bina mere jankari ke, but thank god mere bank account
me balance nahi tha isliye payment unsuccessful ho jati thi. Mujhe
daily transaction failed ka message aata tha but mujhe pata nahi tha ki
aisa paypal me ho raha hai.
Jab maine is metter ke bare me pata kiya tab mujhe pata chala ki mere
paypal account me hostgator pre-approved payment ke liye active hai
isliye meri jaankari ke bina mere debit card se wo transaction kar sakta hai.
Iske baad instantly maine apne paypal me se hostgator pre-approved
payment ko inactive kar diya, aur uske baad mujhe koi bhi transaction ka
message receive nahi hua.
Aap agar paypal se payment karte hain to kayi baar aapne bhi is
situation ko face kiya hoga. Aaj main aapko bataunga ki kaise aap kisi
merchant ko pre-approved payment se inactive kar sakte hain.
Disable Pre-approved payment in PayPal
Step 1: Sabse pahle apne paypal account me login kare, uske baad apne right side Setting icon par click kare. Setting me Payments option par click kare.
Step 2: Payments ke andar aapko Pre Approved Payments par click karna hai.
Step 2: Payments ke andar aapko Pre Approved Payments par click karna hai.
Step 3: Ab agli screen me aap dekh sakte hain ki
kaun sa merchant pre-approved payment ke liye Active hai, jaisa ki aap
below Image me dekh sakte hain mere paypal account me is samay
Bluehost.com active hai.
Ab mujhe ise Inactive karna hai. Inactive karne ke liye merchant ke
upar click kare, yaha main Bluehost.com ke upar click karunga.
Step 4: Ab next screen me aapko Cancel par click karna hai. Jaisa ki aap below image me dekh sakte hain.
Click karte hi aapse confirmation ke liye poocha jayega Yes par click karke confirm kare.
Ab aap dekhenge jo pre-approved active thi ab inactive ho gayi hai.
That’s it aapne successfully merchant ko pre-approved payment ke liye
disable kar diya hai.
Conclusion
To dosto, Paypal me payment karte samay hamesha is baat ka dhyaan
rakhe ki jise aap payment kar rahe hain wo aapke account me pre-approved
payment ke liye Active na ho, nahi to aapki jaankari ke bina hi aapke
Debit/Credit card se payment automatic ho jayega aur uske baad aapko
pata chalega transaction ke bare me.
Agar aapke card me balance nahi hai to bhi transaction failed ka baar baar aapko message milta rahega.
Online transaction ke liye paypal sabse best and safe hai, maine apna kotak debit card paypal me add
kiya hua hai jaha se main bina kisi problem ke international
transaction kar sakta hu. Khaas kar kuch purchase karna ho like themes,
plugins, services.
No comments: