Kotak Mahindra Debit Card Online Apply Kaise Kare

Aapne meri last post me dekha ki kaise aap State bank of India me Online ATM/Debit card apply kar sakte hain aur bina kisi problem ke Card ghar par Receive kar sakte hain.

kotak debit card apply



Aaj main aapko Private bank Kotak Mahindra me online Debit card ke liye kaise Apply karte hain iske bare me batane ja raha hu.
Bata du ki maine kuch month pahle hi apna Account kotak mahindra bank me open karaya tha wo bhi bina branch visit kiye Ghar par baithkar. Maine Jifi Saving Account open karaya hai jisme aap sabkuch online kar sakte hain.
To chaliye point par aate hain aur Card ke liye Apply karte hain, sirf 3-4 steps hain.

Apply Kotak Mahindra Debit Card online

Sabse pahle apne Net-banking Account par login kare. Login karne ke liye Kotak.com par visit kare aur apna CRN (Customer relationship) number and Password enter karke Account me enter kare.
kotak bank login

Login karte samay aapko OTP enter karna padta hai jo ki advance security layer hai. OTP aapke registered number par aayega wo enter karke Account me login kare.
Apne Net-banking Account me login karne ke baad “Debit Card” tab par click kare.

kotak debit card apply

Debit card me aapko left side options me “Apply for New card” ka option show karega, uske upar click kare.

apply new card kotak
Kotak aapko 3 Type ke Debit Card offer karta hai. Yaha aapko apna Card select karke proceed karna hai.
  1. Platinum Chip based Debit card: Is card ki Annual fees Rs.750 hai.
  2. JIFI platinum Chip based Card: Is card ki Annual fees Rs.250 hai. Main isi card ka use karta hu, yah card Paypal and International transaction ko support karta hai.
  3. Classic Chip based Card: Is card ki Annual fees Rs.150 something hai.
Card Apply karne se pahle Learn More par click karke sabhi details & features check kar le.

Now click on “Select & Proceed“.
Ab next screen me aapko just “Confirm” par click karna hai, That’s it ho gaya Apply successful.
Note: Agar aapke paas already card available hai aur aap new card ke liye apply karne ja rahe hain to aapko apna pahla card Block karna hoga. 
After successful Apply aapka Debit card 2-3 week ke andar receive hoga. PIN number aapko separately send kiya jayega. ya ho sakta hai sath hi send kiya jaye.
Aapka new Debit Card pre-activated aata hai, aapko bus kisi paas ke ATM par jakar ek successful transaction karna hai. Uske baad aap online and other places par use kar sakte hain.

No comments:

'; (function() { var dsq = document.createElement('script'); dsq.type = 'text/javascript'; dsq.async = true; dsq.src = '//' + disqus_shortname + '.disqus.com/embed.js'; (document.getElementsByTagName('head')[0] || document.getElementsByTagName('body')[0]).appendChild(dsq); })();
Powered by Blogger.