Aadhar Card Ko Bank Account Se Link Kaise Kare [3 Simple Method] ?


Hello Dosto, www.Dekhoandsikho.blogspot.in me aapka swagat hai. aaj ki post bohot hi jaruri aur upyogi hai.Dosto Aadhar Card Hamare Desh me bohot hi upyogi hai. Aadhar card hona bohot jaruri ho gaya hai. kyuki ab har jagah Aadhar card ki jarurat padti hai.
Aapko kabhi bank se massage aaya hoga ki aap apna Aadhar card bank account se Link kare. Aadhar Card ko Bank Se Link karna bohot jaruri hai. Isse hame bank se milne vaale Fayde mil sakte hai.Aadhar Card link karne ke liye aapko bank jana hoga. Lekin yaha pe Me aapko jo tarika bataunga jisse aap Bank Gaye Bagar hi Adhar Card Ko Bank Account se Link kar sakte hai.

Lekin me aapko bata du ki ye tarike Sirf SBI bank ke Customer ke liye hi hai. Me aapko yaha Aadhar Card ko Bank se link karne ke 2 tarike bataunga. pahla Massage ke jariye aur dusra SBI ATM ke jariye.

Method :-1

SMS Ke Jariye Aadhar Card Ko Bank Account Se Link Kaise Kare.

Iske liye aap Jis number se massage kar rahe hai vo number Bank Account me Registerhona chahiye.
Step 1:- Sabse pahle aap Register number se UDI<Space>Aadhar Number <Space>Bank Account Number type karke 567676 par send karde.
Step 2:- Ab aapke paas Aadhar card ka Bank account se Link hone ka Conformation Massage aayega.
To bas ab aapka Aadhar card Bank Account se Link ho gaya hai.

Method:-2

ATM Se Aadhar Card Ko Bank Account Se Kaise Link Kare

Step:-1 Sabse Pahle aap kisi bhi SBI ke ATM me jaye aur Fir vaha Apna ATM card aur PIN Enter kare.
Step:-2 Menu me Jake Service Registration par click kare.
Step:-3 Ab Aadhar Registration par click kare.
Step :-4 Iske baad Account Type me Saving/Checking par click kare.
Step:-5 Ab aap apna Aadhar card number Enter kare. Fir ek baar aur Aapko Aadhar Card Enter karne ko bolega. Firse Aap Enter kare.
To bas Ab aapka Aadhar Card Bank Account se Link ho gaya hai.

Method:-3

Aadhar Card Bank Account Se Link Huua Ki Nahi Kaise Check Kare

Step:-1 Sabse Pahle Aap Apne Register Number se apne Mobile me *99*99# dial kare.
Step:-2 Ab Aadhar Linking Status ko click karna hai.
Step:-3 Ab apna Aadhar Number Enter karke Confirm karna hai.
Step:-4 Confirm karne ke Baad agar aapka Aadhar Number Link ho gaya hai to Aapko Apni Bank ka Naam Likhha milega.
To dosto aap is Tarah se Bina Bank Gaye hi Aadhar Card ko Bank account Se linkkarva sakte hai. I hope ki aapko meri ye post acchi lagi hogi. Aap is Post ko Apne Friends se Share karke Unki Madad kar sakte hai. Agar aapko koi problem hai to niche commentme likhe.

No comments:

'; (function() { var dsq = document.createElement('script'); dsq.type = 'text/javascript'; dsq.async = true; dsq.src = '//' + disqus_shortname + '.disqus.com/embed.js'; (document.getElementsByTagName('head')[0] || document.getElementsByTagName('body')[0]).appendChild(dsq); })();
Powered by Blogger.