CCC Exam ke Liye Online Form Kaise Fill-Up kare



Mera brother next month CCC (Course on computer concept) ki exam dene wala hai jiska online form last month maine fill kiya tha.
Aaj main apne askmehindi readres ko batane ja raha hu kaise CCC ka form aap online fill up karke exam de sakte hain.

CCC (Course on Computer Concept)
National Institute of Electronics & Information Technology (NIELIT) jo ki pahle DOEACC ke naam se jaani nati thi, yah government of india ki self governing institute hai jaha alag-alag IT courses chalaye jate hain.
In cources me CCC, (O,A, B ,C) Level exams main hain.
CCC ka certificate bahut important hota hai jab aap kahi government job ke liye apply karte hain, even agar aapke paas CCC ka ceriftate hai to government sector me aapko clerk department me job milne ke chances bahut badh jate hain.
CCC ki exam dene ke liye aapko form fill-up karna padta hai, small free amount Rs.400-500 pay karna padta hai and uske baad next month aapki exam li jati hai.

Aaiye step-by-step CCC ka form fill-up karte hain aur Admit card download karte hain.

CCC Exam ka Form Online Fill-Up kare

1
Sabse pahle NIELIT ki official site par visit kare.
2
NIELIT me Righi side Apply Online tab par click kare
NIELIT apply online
3
Next screen me aapko alag-alag IT courses show karenge, waha aap Course on Computer Concepts (CCC) par click kare.
NIELIT CCC form filling
4
CCC par click karne ke baad next screen me Declaration me I Agree and proceed par click kare.

5
Ab next aapko Form Fill Up karna hai. See how:-
NIELIT CCC form filling
  • Whether applied previously in CCC exam me NO par click kare
  • Apna name, father and mother name, gender, DOB, Category, work detail, email address, mobile number and address add kare.
NIELIT CCC form filling
  • Qualification details and passing year add kare
Examination details me:
  • Applied as me Direct option select kare
  • Applied for examination me Every Month Exam Cycle select kare aur apna exam month select kare jo ki next month hoga.
  • Examination location me aapko 2 location option provide kiye jate hain, aapko dono option me apni exam location select karna hai.
First location me apne sabse near location ko select kare aur second location me apni city ke sabse near location select kare.
  • Ab next aapko apna Passport photo, Signature and left hand thumb impression ki photo upload karna hai and form submit karna hai.
Form submit karne ke baad next screen me aapko Rs.575 (something) fees pay karna hai.

Fees pay karne ke liye aap online net banking/ Cards or challan use kar sakte hain.
Successfull fees pay karne ke baad aapki CCC online application submission compete ho jayega.
Aapke Registered mobile and email address par Registration number send kiya jayega jo aapko safely note karke rakhna hai.

Check form Status

Apne filled form ka status check karne ke liye follow below process:
NIELIT home page par visit kare
Certificate/Courses par click kare

Next screen me apne course CCC par click kare
Ab next screen me Check form status par click kare
NIELIT website


Ab apna Application number, DOB enter karke aap apna form status dekh sakte hain.

NIELIT CCC form status

Admit Card Download kare aur Print kar Ready to go CCC exam

Form fill-up karne ke baad sirf 1 month me aapko Admit card download karne ke liye mail and SMS aayega.
Admit card download karne ke liye NIELIT par visit kare.
Download Admit card par click kare
NIELIT admimt card
Apna course CCC select kare
Ab next screen me apni examination month ko select kar, Application number add kar view par click kare aur Admit card download kare.
Exam dene ke liye center city me hi aayega, isliye aapko tension lene ki jarurat nahi hai.
CCC exam ka Syllabus (Study for exam)
CCC ki exam me aapse computer ki basic things ke bare me poocha jata hai like hardware and basic software MS word, powerpoint, Internet use, email send etc yah sab shamil hai.
Aapko theory and practical test dena hota hai.
Yah sab aap sirf 1 month me learn kar sakte hain, and most of peoples ko yah already aata hai.
Aap is link par se complete syllabus dekh sakte hai  and uske according exam ke liye preparation kar sakte hain.
Dhyaan rahe CCC ki exam form fill karne ke baad 1.5 month ke baad hogi, isliye preparation pahle se hi karke rakhe aur uske baad form bhare exam ke liye.

No comments:

'; (function() { var dsq = document.createElement('script'); dsq.type = 'text/javascript'; dsq.async = true; dsq.src = '//' + disqus_shortname + '.disqus.com/embed.js'; (document.getElementsByTagName('head')[0] || document.getElementsByTagName('body')[0]).appendChild(dsq); })();
Powered by Blogger.